Dar
February 20, 2020
Samaj ka dar,pariwar ka dar
Apno ka dar,parayo ka dar
Karmo se dar, karmo ka dar
Har raat me dar, har din ka dar
Khud se dar,har lamhe se dar
Dar ka hi sansar h,sansar me hi dar...
Har vyakti kisi na chiz se Roz darta h. Jis samaj me hm rehte h usne karm karne se pehle darna hi shikhaya h. Pariwar bhi usi samaj ka hissa h. Jaha log baate ijjat dene ke liye sunne ya na sunne parantu dar se jarur sun lete h. Vikash ke es dour me hm apne ho ya paraye unse pyar ya vishwas ki jagah darne lage h. Ye alag baat h koi bhi ese jahir hone nhi deta. Sandhaya hote hote ye soch man ko satane lagti h ki kahi koi apriya ghatna na ght Jaye. Bitta har pal becheni aur ghabrahat sath le hi aati h.
Ab koi keh sakta h ki hm to der raat Bahar rahte h..kavi nhi Dara ya kuch aur aese hi tark. Par ye kehna bhi galat hi nhi hoga ki sukun to unhe ghar pahuch ke hi milta h..aur unhe dekh ke unke ghar walo ko.
Vigyan kehta h dar kewal ek manshik vikar h Jo khatm Kiya ja sakta h. Ek pal ko maan liya Jaye ki sansar se dar hi khatm ho Gaya. Janab fir bhi sansar kaha chal payega...!
Dar se mukti to insan ko antim samaye me bhi nhi milta jab Tak atma ka parmatma se Milan na hojaye.
0 comments