Samaye
February 14, 2020
" Samaye ke rath me sab jute
Kya raja Kya rnk..
Dev bhi jis se Bach na pye
Wo samaye ka chakr.."
Samaye bhi Kamal ka hai. Kabhi to itna rulata h ki Zindagi ke Mayne hi badal deta h aur sikayato ka pahar khada ho jata h aur achanak kabhi ek lamhe ki khusi me nayi nayi ummido ke pool khade Kar deta h.
Insaan ki pehchan ya aukat ye samaye hi to tey karta h. Apno ko paraya banne me aur parayo ko apna banne me bhi samaye nhi lagta. Kabhi wo faisle Jo hme galt lag rahe hote h samaye ke sath sahi sabit ho jate h aur kabhi lakh samjhdari se liya hua faisla bhi galt. Ye koi nhi keh sakta ki aane wala wala samaye ke garv me Kya chupa h. Bs aashao ka dor thame apne karmpath par agrasar rehna hi Zindagi ka naam.
" Badal jayega ye waqt bhi Tera..
Thoda dhiraj rakhle payare..
Naam banega Tera ek din..
Bs thodi mehnat karta ja re.."☺️☺️

1 comments
Excellent Explanation of time.
ReplyDeleteBut tmko itna hindi kaise aata hai.
��������